Aaye thhe wo
Ye Sochkar ki
tayyar hun
Ki mukti ki jwala jal gayi thi
Mere seene mein
Ki samajh gai thhi main
Khaas mazaa nahin
hai jeene mein
‘Moksh moksh’ ki meri rut suni
Fir soch kar mere liye disha chuni
Badi namrata se samjhaya
Raasta bhi baar baar dikhlaya
Maine bhi koshish ki puri
Magar samajh hi nahin ayaa!