Thak si gayi hun
Kadam se nahin
Socch se
Soch ke
Ki ye kadam kabhi
khatm hi nahin honge
Dhoondhte rahenge
Usko jo nahin hai
Poojte rahenge
Usko jo nahin hai
Phir ugungi main
Kali ki tarah
Kabhi baag mein
Kabhi keechad mein
Bhogne ke liye
Jo kiya tha
Jo karoongi
Maloom hai
ki ant mumkin hai
samaapan ho sakta hai
magar dridhta hi nahin hai
Nishchay mein
No comments:
Post a Comment